Total Pageviews

Popular Posts

Sunday, October 16, 2011

BEHRA-E-AAM

BEHRA-E-AAM

ASSALAM WA ALAIKUM,
Khusosiyat Mehdaviyat se darasal Ye Lafz
“BEHRA-E-FAIZ VILAYAT MUQIADA MUHAMMADIYA BARAYE QAAS WO AAM”

Awwal aur Aaqir ke 2 lafz Lekar issko Behre-Aam kar diya gaya hai,

Baaz Buzargon ne issko BAAR-AAM bhi Likha hai,

Kisi Buzurg ke Behre-Aam se Muraad Ye Hai ke Unki Wafaat ke Din se Ek Din Pehle,
Unke Faiz Ki Yaadgaar May Koyi Ba-Aasani Mayassar Hone Waali Ghiza Unke Motaqideen Wo Murideen Wo Haazireen May Unke Darjon ke Mutabiq Alas-Sawiya Taqseem Ki Jaaye,
Maslan Taarikud-Dunya, Ahle-Irshad(Murshideen) ko 4 Musht toh Taalibe Khuda ko 3 Musht, kaasibon, Aurton, Bachhon ko 2-2 Musht ya isi Andaze ke Muafiq Puqta ya Qaam(UNRIPE) Jo bhi Ghiza ho taqseem karte hain.

Iss Amal ki Ibteda Hasbe Hukum Hazrat Mehdi Mauood(ahs) Grohe Mubarak may Hazrate Bibi Ilahadadi(rz) ke Behre-Aam se huwi hai.
Jab tak Dairon ki Zindagi thi har Buzurg ke Behre-Aam ke Mauqe per Paani aur Lakdi ki Farahmi ke Liye Murshid Daira Apne Taalibon ko saath Lekar Daire ke Baahar kisi khareebi Jagah per Jahan paani Bhi Mil sakta tha aur Lakdi bhi faraham Ho Sakti thi Unn Dono Cheezon Ko Le jaate the.
Toh unko Dekh kar Ya Pehle hi se Behre-Aam ki ittela Paakar Daire ke Baahar Rehne Waale Mehdavi bhi jo Kaasibeen wo Muafiqeen Keh Laate the,
Paani aur Lakdi ki Farahmi ke Liye Murshid Daira aur Fuqra-e-Daira ke Ijmaa may Shareek ho jaate the.
Aur iss Shirkat ko Apne Liye Baayis Saadat Jaante the.

Yahan tak ke Unke Dost, Ahbaab bhi Jo mehdaviyon may Na Hone ke Bawajood Hazrat Mehdi (ahs) ki Azmat wo Vilayat ke Qaayil aur Aap ke Baad ke Buzargon ko bhi Fazal-O-Kamaal Aeteqaad ke saath NAAN-REZA lekar Aankhon ko Laga kar Khaate the,
Aisi Misaalein Zamana-e-Haal tak bhi dekhne may aayi hain,
Balke Qiyamat tak Dekhne may Aayingi,

ISS SEEDHE SAADHE AMAL KE SIWAAYE HAMARE YAHAN NA KISI BUZURG KE URS KE MAUQE PER SANDAL CHIRAAGH KA EHTEMAAM HAI NA KISI KHISAM KI DHOOM DHAAM.

Baaz Logon ka ye Aeteraaz hai ke Maujuda zamane may Lakdi Ya Paani Kahin se jaakar Laane ki kya Zarurat hai?
Go Agle Zamane may Iski Zarurat rahi ho.

Lekin Zarorat Baaqi rehne ya Na rehne ka Yahan Sawaal hi Nahi.
Yahan Baqa-e-Tariqa salaf Saaleheen aur Uski Deeni Afadiyat ko dekhna hai ke AALA MAQSAD ki takmeel may baghair kisi Kharch ke ye Sahuliyat sab ko shirkat ki saadat haasil hoti hai.

Dekho Bibi Haajran(rz) Ek Zarurat ke Tehat Safa wo Marwa ke Darmiyan daudi theen, Ya Hazrat Ibrahim wo Hazrat Ismail(ahs) ne Shaitaan ke Behkaane ke Liye Aane per Usko Kankariyan Maarin theen, Ab wo Dono Zaroratein Mutlaq NAhi Rafa Ho chuki Hain,
Phir Hajiyon se Poochiye ke Wo Ye Dono Faal Kyon Anjaam Deten hain?

Wajah yahi Hai ke Qaasaan-e-Haq ke Jo Afwaal Sha’a’ir (signs) Allah may Shumaar Paane ke Hote Hain.
Unki Yaadgaar ko Dilon ki Taqwiyat aur Rooh ki Baaleedgi ke liye Baaaqi rakhna hi Padta hai,
Jin ke bare may Ye Aayat kareema naazil huwi

WO MANN YU-AZZIM SHA’A’IRILLAH FA-INNAHU MIN TAQWAL QULOOB

AUR JO TAAZIM KARE ALLAH KI NISHANIYON KI TOH YE DILON KI PAREHGAARI SE HAI,
Yahi Sha’a’irillah sha’ar Qaum ban ke Shaaqat Qaum ka Zariya Ban jaata hai


Reference: Chiraagh-e-Deen Mehdi(ahs)


Aai Parwardigaar Hamein Hamare Buzurgaane Deen ke Dikhaaye Huwe Raaste per Chalne ki Taufeeq Ata Farma aur Hamara Qaatima Imaanse mehdaviyat per Farma.
Ameen.

1 comment:

Zaheer Mehdi said...

Assalamualaikum....
Aap ne bohat hi ache andaaz me Behr-E-Aam ke maane samjhaya hai... Meri aap se guzarish hai ke Behr-E-Aam ko Behr-E-Qaas se relate karke jo Huzur (SAW) aur Haz Abu Huraira (RZ) ka waqiye hai o bhi is blog me publish karien taake agar Gair Mehdavi bhi Behr-E-Aam ke baare me padhien to o bhi achchi tarah se samjhien...